Itni bhi kya Jaldi thi... Deepak Salwan

 Itni jaldi bhi kya thi dost, kuch der aur to rukta 

Yun to baat karne ko to kuch khaas nahin hota

Par agar tu hota to tere na hone ka ehsaas nahin hota

Itni bhi kya jaldi thi dost ….


Rah bhi nahi badlegi aur Zindagi usi raftaar se chalegi

Safar mein saath hota to khoob jamti , rahon mein teri kami zaroor khalegi

Itni bhi kya jaldi thi dost…. 


Kuch aur khaniyan likhte zindagi ki kitaab mein,

Kuch aur saal jud jaate dosti ke hisaab mein ,

Itni bhi kya jaldi thi dost…


Alvida to kehna hee tha ek din par, Itni bhi kya jaldi thi dost …

Comments

Popular posts from this blog

The Girl, The City and The Marathon - By Nayana Gadkari

Lioness - By Nayana Gadkari

Amma and I: A tale of family traditions