कसक (kasak) -By Atul Singh

 कसक


काश तू एक प्याला होती

पिघल के तुझ में भर जाता मैं

वहीं काट देता ज़िंदगी

तुझ मेंतेरे अंदर

सिंह

या एक ऊँचा सा पेड़

तेरी जड़ों सी लेकर टहनियों तक

फिरता रहता तेरे अंदर

प्यासा सा पानी बन कर


या काशतू स्याही होती

कालीनीली या लाल

तेरा रंग बनकर तुझ से लिपटा रहता 

जब तक तूतभी तक मैं भी होता


या फिरतू एक कोयल होती

तेरी मीठी आवाज़ हो कर

तेरी पहचान 

बन जाता मैं


या घने बादल

जिन में बारिश बन कर रहता

या बिजली 

जिस की रोशनी होता मैं


लेकिन तू और मैंसिर्फ़ इंसान है

कितना भी चाहें एक दूसरे में उतरना

थोड़ा सा

बच जाते हैं


बस यही एक गुनाह है

हमारा



Kasak


kash tu ek pyala hoti

pighal ke tujh mein bhar jata mein

vahin kaat deta zindagi

tujh mein, tere andar


ya ek ooncha sa ped

teri jadon se tehnion tak

phirta rehta tere andar

pyaasa sa paani bankar


ya kaash tu syahi hoti

kaali neeli ya laal

tera rang bankar lipta rehta tujhse

jab tu hoti, bas tabhi tak mein bhi hota


ya phir tu ek koyal hoti

teri meethi aawaj ho kar

teri pehchaan 

ban jaata mein


ya ghane badal jin mein

baarish ban kar rehta

ya bijli 

jis ki roshni hota main


lekin tu aur mein sirf insaan hain

kitna bhi utarna ek doosre mein

thoda s

bach jaate hain


shayad yahi ek gunah hai

hamara

Comments

Popular posts from this blog

Shut up and sing!

The Staircase - By Nayana Gadkari

Eternity…. by Atul Singh